Events Festivals Blog in India

Don't miss these top festivals in India to experience Indian culture at its best.Top List of Indian Festivals and Holidays in year 2018

Responsive Ads Here

Friday 16 March 2018

Khwaja garib nawaz


Rajjab ka mahina aagya.Is mahina se Mussalmaano ke Ibadat ka mahina shuru hota hai,aur Ramzan tak chalta hai.ibadat ki suruat hoti hai,khwaja garib nawaz(RA)ke,urs mubarak se,jisski suruat 1 rajjab se hoti hai aur 6 rajjab ko khatam hoti hai. khwaja garib nawaz(RA),ka urs mubarak Ajmer(Rajisthan)me bare dhum dham se manaya jata hai,is urs mubarak me sari duniya ke insaan shamil hote hai,hamare khwaja garib nawaz(RA)ko har mulk ke,har mazhab ke log mante hai. khwaja garib nawaz(RA)ko bahut sare namo se jana jata hai. Syed Moinuddin (RA),KhaWja Moinuddin chisti(RA),Baba ajmeri,Peer Syed baba. khwaja garib nawaz(RA) ki wiladat(janm)14Rajjab,530hijri,18april,1142iswi,sanichar(shaniwar)ke din maghrib(shaam)ke waqt hui.Ajjmeri baba hindustan ke nahi then.woh to Iraan mulq(desh)ke Sijistan(sistan)ke ek syed pariwar se then.unka sijra iss tarah se hai: SYED IMAM ALI{A/S} SYED IMAM HUSSAIN {A/S} SYED IMAM ZAINULABEDIN{A/S} SYED IMAM MOHAMMAD BAQIR{A/S} SYED IMAM MOHAMMAD JAFAR SADIQ{A/S} SYED IMAM MUSA KAZIM {A/S} SYED IMAM ALI MUSA RAZA{A/S} SYED IMAM MOH TAQI {A/S} SYED IMAM ALI NAQI{A/S}AA SYED MUSA{R/A} SYED ASKARI {R/A} SYED MEHNDI {R/A} SYED KHWAJA ABDUL AZIZ HUSSAIN {R/A} SYED KHWAJA NAJMUDDIN TAHIR {R/A} SYED HASSAN AHMED {R/A} SYED KHWAJA GHIYASUDDIN HASSAN {R/A} SYED KHWAJA MOINUDDIN CHISTI KHWAJA GAREEB NAWAZ{R/A} Unke walid(pita)sistan ke ameer aadmi then.Peer Syed baba ajjmeri ki umar jab 20 saal ki thi unke walid ka intaqal(miritu)ho gaya.unko batware me ek baag(bagicha)aur chakki mili.kuch dino baad inhon ne apna sara maal garibon me bat diya.aur khud Allah ki raah me nikal gaye.unka dil duniyawi baton se uchaat ho gaya .unka dil garibon aur lachar ke liye darakta tha.dini talim hasil karne Bukhara(iran)aayen.Whan inki mulaqat KhWAJA USMAN se hui,jo bahut bare aalime deen(dharm guru)aur peer then khwaja garib nawaz unke shagird(widyarthi)ban gaye aurKhWAJA USMAN unke peer ban gaye.Ajjmeri baba apne pir sahab ki khidmat me 20 saal rahe.inki dosti SEKH ABDUL QADIR GILLANI{BARE PIR},SEKH SAHABUDDIN,se ilm allahi ke douran hui.1190 me lahor se, patiyala(punjab)se, ajjmer me hamare SYED KHWAJA MOINUDDIN CHISTI GAREEB NAWAZ{R/A}kadam mubarak aaya aur phir yahin ke ho ke rah gayen.yahan Khwaja garib nawaz ajmeri ne khankahi ki neew daali iss liye inko kwaja,chistiya khandan ko ajjmer me bardaya iss liye chisti,aur mussalman to mussalmaan bahut sare ajmer ke hindu bhi peer baba ajjmeri se iman lakar musalman bait(murid)huyen issliye peer sahab, ke naam se, garib ke rahbar then issiliye garib nawaz ke naam se jane jate hai.hindusthan me inki doti SHEKH HAMIDUDDIN NAGAWARI,QUTUB UDDIN,BABA FARID SUKARGANJ,se thi jinko sari duniya janti hai.Khwaja garib nawaz ka intaqal 6 rajjab 1234 me ajjmer me hua.issliye Khwaja garib nawaz ajmeri ke dargah sharif me 6rajjab ko chadar poshi keliye unke manne wale aate hai.ajmeri baba ke zindaki ke karname taqrir(ktha)aur qwwali aur khankahi qwwali ke zariye bataya jata hai,berozgar apne rozgar.beaouladd apne aulaad,bimaar apne sehat,gareeb apne amir hone ki faryad le kar aaten hai aur mannat maante hai aur"MASHAALLAH"MANNAT puri hoti hai.har saal jinki mannat puri hoti hai wo chadar poshi aur deg charane aate hai .khwaja ajjmeri baba ke darbar me unke manne wale nazrana(charawa)me rupiya sona,chadi,chaddar,itr,agarbatti deten hai.yhan bahut bara deg hai,urs me usme meetha pulao pakaya jata hai,aur fateha dalkar uss tabaruk(prashad)ko logon bata jata hai. aur jo nahi aapate wo apne gharon me fateha dalwate hai meetha pulao pakakar. iss din bachhe bore jawan sabhi naha dokar nayen libass pahankaar sabse pahle iis tabaruk ko khate hai 1rajjab se khwaja gharib nawaz chishti {r/a}ke maanne wale unke naam ka chanda ekaththa karte hai aur uss paisa se meetha pulao banate hai 5rajjab ko deg chardane ki rasm hoti hai 5 rajjab ki rat baba ajmeri,ke manne wale sote nahi hai, galiyon ko dulhan ki tarah sajaya jata hai aur ratbar Khwaja ghrib nawaz ke naam ki qwwali bajti hai aur deg charane ki rasm ki jati hai subah fajir ke namaz ke bad deg me fateha dala jata hai aur gali muhalle ke nukkar par shabhi aane jane waie ko bati jati hai.

No comments:

Post a Comment